Main Woh Chaman Hu Jismein Lyrics From Mahal 1949

Bollywood Hindi Movie Songs Lyrics of Mahal 1949
Lyrics of Song : Main Woh Chaman Hu Jismein

Song : Main Woh Chaman Hu Jismein
Music : Khemchand Prakash
Lyrics : J. Nakshab
Singers : Rajkumari


Main woh haseen hu labo pe jo aane se reh gayi
Main woh shama hu jo kabhi roshan nahi hui
Main woh umang nikli jo dil se na ek baar
Main woh khushi ke gam ne jise kar liya shikaar

Main woh dulhan hu raas na aaya jise singaar
Main woh chaman hu jismein na aayi kabhi bahaar... (2)
Main woh dulhan hu raas na aaya jise singaar
Main woh chaman hu jismein na aayi kabhi bahaar

Ghar jal gaya toh aag bujhane se fayda... (2)
Usmein wafa ko ab yeh jatane se faayda
Jatane se faayda
Par mere dil ka chain mera dil hai bekaraar
Main woh chaman hu jismein na aayi kabhi bahaar... (2)

Kashti bhatak rahi hai kinara nahi koi... (2)
Majboor zindagi ka sahara nahi koi
Sahara nahi koi
Marne ka intezaar hain marne ka intezaar
Main woh chaman hu jismein na aayi kabhi bahaar... (2)
Main woh dulhan hu raas na aaya jise singaar
Main woh chaman hu jismein na aayi kabhi bahaar

0 comments: